Saturday, September 1, 2007

Songs related with Ghar - Aalok Jain & Devendra Gupta

Gaana 30 - Chotte Nawab
ghar aaja ghir aaye badara saanvariya
mora jiya dhak dhak re chamake bijuriya

suuna suuna ghar mohe dasane ko aaye re
khidaki pe baithi baithi sari rain jaaye re
tap tip sunaata main to bhai re baanvariya

kasamaata jiyara kasak mori duuni re
pyasi pyasi ankhiyon ki kaliyaan hai ??? re
jaane mohe laagi kis bairan ki najariya
ghar aaja ghir aae
Gaana 29 - Chotte Nawab
vo aaye ghar hamaare kuda ki qudarat hai
kabhi ham unako kabhi apane ghar ko dekhate hain

chura ke dil ban rahe hain bhole (jaise kuchh) - 2 jaanate nahin
koyi bataao ki ham karein kya vo hamein pahachaanate nahin
chura ke dil

abhi chand roz pahale pahali mulaaqaat mein
vo kuchh kah rahe the hamase haath le ke haath mein
daal gaye jaadu haay jaadu baat-baat mein
chura ke dil

aaj bhi suruur chhaaya kal bhi suruur tha
itana sa farq lekin kahane ko zaruur tha
kal pine vaala mayaqade se duur-duur tha
chura ke dil

vo bhi ek raat pyaar ki ye bhi ek raat hai
aur hi thi baat tab aaj aur baat hai
jaane vo kahaan hai jo yahaan mere saath hai
chura ke dil

Gaana 28 - Baiju Bawra
nirdhan kaa ghar lootanewaalon, loot lo dil kaa pyaar
pyaar wo dhan hain jis ke aage, sab dhan hain bekaar

insaan bano, insaan bano, kar lo bhalaayee kaa koee kaam
duniyaa se chale jaaoge, rah jaayegaa bas naam

jis baag mein sooraj bhee nikalataa hain liye gam
foolon kee hasee dekh ke ro detee hain shabanam
kuchh der kee khushiyaan hain to kuchh der kaa maatam
kis nind mein ho jaago, jaraa soch lo anjaam

laakho yahaa shaan apanee dikhaate huye aaye
dam bhar ke liye naach gaye dhoop mein saaye
wo bhool gaye the ke ye din hain saraayen
aataa hain koee subah, to jaataa hain koee shaam

kyo tumane lagaaye hain yahaa julm ke dhere
dhan saath naa jaayegaa, bane kyo ho lutere
peete ho gareebon kaa lahoo shaam sawere
khud paap karo, naam ho shaitaan kaa badanaam
Gaana 27 - Gaana 26 - Awaara
(jabase balam ghar aaye
jiyara machal-machal jaaye) - 2

o dil ne dil se kaha tha fasaana - 2
laut aaya hai guzara zamaana
O,laut aaya hai guzara zamaana
khushiyaan saath-saath laaye
jiyara machal-machal jaaye

Jab se balam ghar aaye
jiyaara machal-machal jaaye

o laa ke aankhon se dil men bithaaoon - 2
muskura ke sitaare lutaaoon
O,muskura ke sitaare lutaaoon
aasha jhuum-jhuum gaaye
jiyara machal-machal jaaye

Jab se balam ghar aaye
jiyaara machal-machal jaaye

o din hain apane mohabbat javaan hai
un se aabaad dil ka jahaan hai - 2
O,un se aabaad dil ka jahaan hai
man ke chor chale aaye
jiyara machal-machal jaaye

Jab se balam ghar aaye
jiyaara machal-machal jaay

Gaana 25 - Ahsaas

sapanon ke shahar, ham banaayenge ghar
pal bhar mein, ye bana, ye gira

chaandi ka rang, hire ka rup, ghar par mere, sone ki dhup
kal tak jo tha, hoga na kal, dil ka mera shish mahal,
kho gayi, roshani
sapanon ke shahar, ham banaayenge ghar

ghar ko bana, dar ko saja, kisake liye main hun khada
tum bekhabar, main hoon magar, tanaha pada, patthar ke ghar
tum nahin, kuchh nahin
sapanon ke shahar, ham banaayenge ghar

kyon ho juda, mujhase khafa, aa jaao tum, na do saza
mausam hanse, gulashan hanse, ghar par mere, aangan hanse
ro raha, dil mera
sapanon ke shahar, ham banaayenge ghar
Gaana 24 - Adharm 2006

o~
ab mere hi ghar aayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
ab mere hi ghar aayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
tanhaai tanhaai
tanhaai tanhaai
ab mere hi ghar aayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
tanhaai tanhaai
tanhaai tanhaai

jab bhi teri yaad ka mausam aayega - 4
dariyaa paar kar jaayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
dariyaa paar kar jaayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
tanhaai tanhaai
tanhaai tanhaai

o~
yun lagta hain raahi tere jaane se - 4
mujhko paagal kar jaayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
mujhko paagal kar jaayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
tanhaai tanhaai
tanhaai tanhaai

apana chehra bhoole se bhi sheeshe mein - 4
jab dekhegi darr jaayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
jab dekhegi darr jaayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
tanhaai tanhaai
tanhaai tanhaai

ab mere hi ghar aayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
ab mere hi ghar aayegi tanhaai
warna sun lo marr jaayegi tanhaai
tanhaai tanhaai
tanhaai tanhaai
o~
Gaana 23 - Aangan Ki Kali
sainyaan bina ghar suna, suna
sainyaan bina ghar suna
raahi bina jaise suni galiyaan
bin khushabu jaise suni kaliyaan
sainyaan bina ghar suna

suna din kaali ratiya
asuvan se bhigi patiya
har aahat pe dari dari
raah take meri ankhiyaan
chaand bina jaise suni ratiya
phool bina jaise suni bagiya
sainyaan bina ghar suna

andhiyaare baadal chhaaye
kuchh bhi na man ko bhaaye
dekh akeli ghere mujhe
yaadon ke saaye saaye
chaand bina jaise suni ratiya
phool bina jaise suni bagiya
sainyaan bina ghar suna

aansu yuun na bahaao
ye moti na lutaao
rukati nahin hain vaqt ki dhaara
pala pala badale jaga ye saara
chaand bina jaise suni ratiya
phool bina jaise suni bagiya
sainyaan bina ghar suna
Gaana 22- Dor
Aaya re Aaya mara Piya Ghar Aaya - 6

Ho mare aangna me man mara nache re ke piya ghar aaya re - 2
Ho me to ho gayi ho gayi Bawariya re ke piya ghar aaya re

Aaya re Aaya mara Piya Ghar Aaya - 4

Saj dhaj ke me darpan dekhu khud ki nazar utaru re - 2
Chhat pe bethi Sajana teri pal pal rah nihanu re

Ho meri Gali me, Ho meri gali me
Meri gali me ye sor macha re Ke Piya ghar aaya re

Ho mare aangna me man mara nache re ke piya ghar aaya re - 2

Aaya re Aaya mara Piya Ghar Aaya - 4

Sajan aaya re sakhi me kai manvar karu
chan bharu gaj motiya, upan nain dharu

Sawan ki rimzim ye bole, milan ki rut ab aayi re - 2
Saam dhale kholega gungata, soch ke me sarmayi re

Ho chanda jake tu, ho chanda jake tu. Ho chanda jake kahi pe tu chhupaja re

Ke piya ghar aaya re
Ho mare aangna me man mara nache re ke piya ghar aaya re - 2
Ho me to ho gayi ho gayi Bawariya re ke piya ghar aaya re

Aaya re Aaya mara Piya Ghar Aaya - 10
Gaana 21 - Dhoop
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho -2
agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho -2
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho

hukumatoN ko badalnaa to kuchh muhaal nahin -2
hukumatein jo badaltaa hai vo samaaj bhi ho -2
agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho -2
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho

rahegi kab talak vaadoN mein qaid Khush-haali -2
har ek baar hi kal kyuN, kabhi to aaj bhi ho
agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho

na karte shor sharaabaa to aur kyaa karte -2
tumhaare shahar mein kuchh aur kaam kaaj bhi ho -2
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho
agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho

Gaana 20 - Darr
chhota sa ghar hai ye magar - 2
tum isako pasand karalo (darawaaja band karalo) - 2
main haan kahu ya na kahu - 2
tum mujhako rajaamand karalo (darawaaja band karalo) - 2

(ye ghar nahi ye hai ek sapana
sapana nahi sach hai pyar apana) - 2
is pyaar se lag ke gale - 2
mulaakaat chand karalo darawaaza band karalo
main haan kahu ya na kahu - 2
tum mujhako rajaamand karalo (darawaaja band karalo) - 2

(chhuna na mujhako o mere chaila
gora badan ho jaayega maila) - 2
is rang ka is roop ka - 2
na itana ghamand karalo darawaaja band karalo
main haan kahu ya na kahu - 2
tum mujhako rajaamand karalo (darawaaja band karalo) - 2

suraj sitaare ya phool laanu
is ghar ko main kaise sajaanu
phoolon se ia ghar ko main sajaanu
bolo main kya kya saamaan laanu
rehana mujhe dil mein tere - 2
bas isaka prabhhad karalo darawaaja band karalo
chhota sa ghar hai ye magar - 2
tum isako pasand karalo darawaaja band karalo
main haan kahu ya na kahu - 2
tum mujhako rajaamand karalo (darawaaja band karalo) - 4
Gaana 19 - Darbaar
luut liya luut liya

kisi garib ka ghar baadshaah ne luut liya
karuun main kis se gila jab khuda ne luut liya
kisi garib ka ghar

lahuu se dil ke jalaaya tha jo chiraag hamane
isi chiraag ko zaalim hawa ne luut liya
kisi garib ka ghar

duhaai hai insaaf ki duhaai hai
ki ek fakir ko aalampana ne luut liya
karuun main kis se gila jab khuda ne luut liya

Gaana 18 - Prem Rog
Yeh galiyan yeh chaubara, yahan aana na dobaara -2
Ab hum to bhaye pardesi ke tera yahan koi nahin
Ke tera yahan koi nahin
Leja rang birangi yaaden, hasne rone ki buniyaaden
Ab hum to bhaye pardesi ke tera yahan koi nahin
Ke tera yahan koi nahin

Mere haathon mein bhari bhari choodiyan
Mujhe bha gayi hari hari choodiyan
Dekh milti hain teri meri choodiyan
Tere jaisi saheli mere choodiyan
Tune peesee woh mehndi rang layi
Meri gori hakeli rach aayi
Teri aankh kyoon laado bhar aayi
Tere dard bhi baje.gi shehnaayi
Sawan mein badal se kehna, pardes mein hain meri behna
Ab hum to bhaye pardesi ke tera yahan koi nahin
Ke tera yahan koi nahin

Aa maaen milne gale, chale hum sasural chale
Tere angan mein apna bas bachpan chod chale
Kal bhi suraj niklega kal bhi panchhi gayenge
Sab tujhko dikhayi denge par hum na nazar ayenge
Aanchal mein sanjo lena humko
Sapnon mein bula le.na. humko
Ab hum to bhaye pardesi ke tera yahan koi nahin
Ke tera yahan koi nahin

Dekh too naa humein bhulaana, mana door humein hai jaana
Meri alhad si ankheliyaan, sada palkon bhi basaanaa
Jab bajne lage baje gaaje, jag lagne lage khali khali
Us dam tu itna samajhna meri doli uthi hai phoolon wali
Thode din ke yeh naate the kabhi hanste ke gate the
Ab hum to bhaye pardesi ke tera yahan koi nahin
Ke tera yahan koi nahin
Yeh galiyan yeh chaubara, yahan aana na dobaara
Ab hum to bhaye pardesi ke tera yahan koi nahin

Ke tera yahan koi nahin

Gaana 17 - Haqueeqat

aayee ab ki saal divaali muNh par apne khoon male
aayee ab ki saal divaali
chaaroN taraf hai ghor andheraa ghar mein kaise deep jale
aayee ab ki saal divaali

baalak tarse phuljhaDiyoN ko, (deepoN ko deevaaren -2)
maaN ki godi sooni sooni, (aaNgan kaise sanvaare -2)
raah mein unki jaao ujaaloN ban mein jinki shaam Dhale
aayee ab ki saal divaali

jinke dam se jagmag jagmag (karti thi ye raaten -2)
chori chori ho jaati thi (man se man ki baaten -2)
chhoD chale vo ghar mein amaavas, jyoti lekar saath chale
aayee ab ki saal divaali

Tap-Tap Tap-Tap Tapke aaNsoo, (chhalki khaali thaali -2 )
jaane kyaa kyaa samjhaati hai (aaNkhoN ki ye laali -2)
shor machaa hai aag lagi hai kaTte hain parvat pe gale
aayee ab ki saal divaali muNh par apne khoon male
chaaroN taraf hai ghor andheraa ghar mein kaise deep jale
aayee ab ki saal divaali

Ganna 16

mai.n to bhuul chalii

mai.n to bhuul chalii baabul kaa des
piyaa kaa ghar pyaaraa lage
koii maike ko de do sa.ndes
piyaa kaa ghar pyaaraa lage

1) nanadii me.n dekhii hai bahanaa kii suurat
saasuu jii merii hai mamataa kii muurat
pitaa jaisaa, sasur jii kaa bhes, piyaa ...

2) cha.Ndaa bhii pyaaraa hai suuraj bhii pyaaraa
par sabase pyaaraa hai sajanaa hamaaraa
aa.Nkhe.n samajhe jiyaa kaa sa.ndes, piyaa ...

3) baiThaa rahe saiyaa.n naino.n ko jo.De - 2
ik pal vo mujhako akelaa naa chho.De
nahii.n jiyaa ko koii klesh, piyaa ...

Gaana 15 - Aryan

sajan ghar aana tha -2
sajan ghar aaye hai
sajan ghar aana tha
sajan ghar aaye hai
piya mann bhana tha
piya mann bhaaye hai
har khushi hai ab tumhari
mujhe de do gam
jaaneman jaaneman - 2
sajan ghar aana tha
sajan ghar aaye tum
piya mann bhana tha
piya mann bhaaye tum
har khushi hai ab tumhari
mujhe de do gam
jaaneman jaaneman - 2

zindagi mein aaye tum chaahaton ke raste - 2
kaash yeh raste sanam kat jaaye haste haste
sone dildara tere pyar to main vaariyaan
meri ya duvaawa tainu lag jaave saariyaan
chaand ho tum chaandani se bheega jaaye mann
jaaneman jaaneman - 2

khwaabon ke iss ghar ki khair kare o rabba - 2
duur talai kalash aur bair kare o rabba
naaz se bade maine kari hai tayyariya
din raat pyar diya nazara utaariya
yeh mohabbat hai ibaadat kabhi ho na kam
jaaneman jaaneman - 2

aaghosh mein meri zulf sanwari teri
chahat ke rangon se main maang saja du teri
maahiya ve aaj mainu aaive kyon ve lagda
aashiq je sachha hove roop honda rab ka
ham yahaan hai tum yahaan ho hone do milan
jaaneman jaaneman - 2


Gaana 14 - Ghar Aa Ja

Koyal kooke kook uthaye , yadon ki bandook chalaye
bagon men jhoolo ke mosum wapas aaye re
ghar aa ja pardesi tera des bulaye reye ..ghar rpt, bagon rpt
Is gaon ki unpad mithi , pad sakti nahion teri chithi
ye mithi tu aakr chume to is darti ka dil jume
mane teri hain kuch sapne , par ham to hein tere apne
bhul ne wale hamko teri yaad satye re
Ghar aaja pardesi tera des bulaye re..ghar rpt
pangat pe ayin mutyare, cham cham payal ki jhankare
kheto men lahrayen sarson , kal parso mein beete barson
aaj hi aaja ka ka hasta , tere rasta dekhe rasta
are choo choo gadi ki seeti awaz lagaye re
ghar ..rpt
hathon me pooja ki thali , aai raat suhago walin
chand ko dekho , hath men jodu , karvachoth ka vrat men todoo
tere hath se pi ker pani , dasi se ban jaoon rani
aaj ki rate jo mange koi , wo pao jaye re
Ghar..rpt
Oh man mitra , Oh man meeta , weh tanu rab de hawale kita..chorus
dooniya ka dastoor hai kase , pagal dil majboor hai kese
ab kya sunaye , ab kya kehna , tere mere beech hi rehna
khatam hui ye ankh macholi , kal jayegi meri dholi
meri dholi meri arthi na ban jaye re ..ghar rpt

Gaana 13 - Dil (1990)

--MALE--
(Humne ghar chhoda hai
Rasmon ko toda hai) - 2
Door kahin jaayenge
Nayi duniya basaayenge

--FEMALE--
Humne ghar chhoda hai
Rasmon ko toda hai
Door kahin jaayenge
Nayi duniya basaayenge

--BOTH--
Humne ghar chhoda hai
Rasmon ko toda hai

--MALE--
(Tere bina jeena pade
Din voh kabhi bhi na aaye) - 2

--FEMALE--
Koi bhi aandhi ho, toofaan koi
Humko judaa kar na paaye

--MALE--
(Bas ek baar kiya hai
Maine tujhe pyaar kiya hai) - 2

--FEMALE--
Hum teri baahon mein
Jannat ko bhoolaayenge

--MALE--
Humne ghar chhoda hai
Rasmon ko toda hai

--FEMALE--
(Chhat pyaar ki, dil ki zameen
Sapnon ki oonchi deewaarein) - 2

--MALE--
Kaliyaan mohabbat ki khilne lagi
Aayi milan ki bahaarein

--FEMALE--
(Janmon ki pyaas bujha de
Mujhko gale se laga de) - 2

--MALE--
Pyaar ke is mandir ko
Chaahat se sajaayenge

--FEMALE--
Humne ghar chhoda hai

--MALE--
Rasmon ko toda hai

--FEMALE--
Humne ghar chhoda hai

--MALE--
Rasmon ko toda hai

--FEMALE--
Door kahin jaayenge

--MALE--
Nayi duniya basaayenge

--BOTH--
Humne ghar chhoda hai
Rasmon ko toda hai
Ganna 12 - Savalee

more ghar aaye baalamva - 4
more ghar... baalam more ghar aaye baalamva
more ghar
aa aa aa... (suni ratiya unn bin laagat - 3)
dekhe bina unn chain na aavat - 2
naina bhar bhar aaye - 4
more ghar aaye baalamva, more ghar...
ghar aaye baalamva - 3, baalamva aa aa aa...
more ghar aaye baalamva - 2, more....
ghar aaye baalamva - 2
more ghar aaye baalamva - 4
more ghar aaye.....

Gaana 11 - Sanam Teri Kasam

(sheeshe ke gharon mein dekho toh pathhar dilwale baste hain
jo pyaar ko khel samajhate hain aur tod ke dil ko hanste hain)-2
sheeshe ke gharon mein dekho toh pathaar dilwale baste hain

(kabhi jaan pe khel ke bhi jag mein kasamon nibhayaa jaata tha)-2
jab vaade bhulane se pehle khud ko hi bulayaa jaata tha
ab kasamein kitni jhuthi hai aur vaade kitane kacche hain
jo pyaar ko khel samajhate hain aur tod ke dil ko hanste hain
sheeshe ke gharon mein dekho toh pathhar dilwale baste hain

aji pyaar sauda dilo ka hai jo ye vyopari kya jaane)-2
ye pyaar to apani pooja hai daulat ke pujari kya jaane
apani har baat chhupate hai deewano ke phitare kacche hai
jo pyaar ko khel samajhate hain aur tod ke dil ko hanste hain
sheeshe ke gharon mein dekho toh pathhar dilwale baste hain

Gaana 10 - Awaara

Ghar aaya mera pardesi
Pyaas bujhi meri ankhiyan ki

Tu mere mann ka moti hai
In nainan ki jyoti hai
Yaad hai mere bachpan ki
Ghar aaya mera pardesi

Ab dil todke mat jaana
Rote chhod ke mat jaana
Kasam tujhe mere aansuan ki
Ghar aaya mera pardesi

Gaana - 9

Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai

Na Baadlon Ke Chhaon Mein Na Chandni Ke Gaaon Mein
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Vaaste
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
Ye Eent-Pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka GharYe Tera Ghar...

Jo Chaandni Nahin To Kya Ye Roshni Hai Pyaar Ki
Dilon Ke Phool Khil Gaye To Fikr Kya Bahaar Ki
Hamaare Ghar Na Aayegi Kabhi Khushi Udhaar Ki
Hamaari Raahaton Ka Ghar Hamaari Chaahaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Yahan Mahak Wafaaon Ki Mohabbaton Ka Rang Hai
Ye Ghar Tumhara Khwaab Hai Ye Ghar Meri Umang Hai
Na Aarzoo Pe Qaid Hai Na Hausle Pe Jung Hai
Hamaare Hauslon Ka Ghar Hamaari Himmaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Gaana 8 - Kucch Kucch Hota Hai

Kabse aaye hain tere dulhe raja
Ab der na kar jaldi aaja

Tere ghar aaya main aaya tujhko lene
Tere ghar aaya main aaya tujhko lene
Dil ke badle mein dil ka nazraana dene
Meri har dhadkan kya bole hai
Sun sun sun

Saajanji ghar aaye hay
Saajanji ghar aaye
Dulhan kyon sharmaaye hay
Saajanji ghar aaye

Ay dil chalega ab na koi bahaana
Gori ko hoga ab saajan ke ghar jaana
Maathe ki bindiya kya bole hai
Sun sun sun

Saajanji ghar aaye
Saajanji ghar aaye
Dulhan kyon sharmaaye hay
Saajanji ghar aaye

Deewane ki chaal mein
Phas gayi main is jaal mein
Ay sakhiyon kaise bolo bolo
Mujhpe to aye dilruba
Teri sakhiyaan bhi fida
Ye bolengi kya poochho
Poochho
Ja re ja jhoothe
Tareefein kyon hai loote
Hay ja re ja jhoothe
Tareefein kyon hai loote
Tera mastana kya bole hai
Sun sun sun

Saajanji ghar aaye hay
Saajanji ghar aaye
Dulhan kyon sharmaaye hay
Saajanji ghar aaye

Na samjhe nadaan hai
Ye mera ehsaan hai
Chaahe jo isko keh do
keh do
Chhede muhko jaan ke
Badle mein ehsaan ke
De diya dil isko keh do
keh do
Tu ye na jaane dil toote bhi deewane
Tu ye na jaane dil toote bhi deewane
Tera deewana kya bole hai
Sun sun sun

Saajanji ghar aaye hay
Saajanji ghar aaye
Dulhan kyon sharmaaye hay
Saajanji ghar aaye

Mehndi laake gehne paake
Gehne paake hay roke tu sabko rulaake
Savere tu jaayegi tu bada yaad aayegi
Tu bada yaad aayegi yaad aayegi
Mehndi laake gehne paake
gehne paake hay
Gehne paake hay roke tu sabko rulaake
Savere tu jaayegi tu bada yaad aayegi
Tu bada yaad aayegi yaad aayegi

Tere ghar aaya main aaya tujhko lene
Tere ghar aaya main aaya tujhko lene
Dil ke badle mein dil ka nazraana dene
Meri har dhadkan kya bole hai
Sun sun sun

Saajanji ghar aaye hay
Saajanji ghar aaye
Dulhan kyon sharmaaye hay
Saajanji ghar aaye

Gaana 7 - Papa Kehte Hain

(Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi
raste main hai uska ghar, kal subah dekha to
baal banati vo, khidki main aayi nazar ) -2
Ghar se nikalte hi ..

Masoom chegra, neechi nigahain
bholi se ladki, bholi aadayan
ja apsara hai, na vo pari hai
lekin yeh uski, jadoogari hai
deewana kar de vo, ik rang bhar de vo
sharma ke dekhe jidhar.
ghar se nikalte hi...

Karta hoon uske, ghar ke main phere
hansne lage hain, ab dost mere
sach kah raha hoon, uski ki kasam hai
main phir bhi khush hoon, bus ek gam hai
jisse pyaar karta hoon, main jispe marta hoon
usko nahi hai khabar.
ghar se nikalte hi...

Ladki hai jaise, koi paheli
kal jo mili mujhko, uski saheli
maine kaha usko, jake yeh kahna
achha nahi hai, yoon door rahna
kal shaam nikle vo, ghar se tahelne ko
milna jo chahe agar.
Ghar se nikalte hi ...

Gaana 6 - Salaam Namaste

--MALE--
paune baara baje
dono ghar se chale
what's going on - 2
soye hain raaste
yeh kahan hum chale
what's going on - 2

--FEMALE--
bulaya kisine tumhe kya
yahan jo tum lehrate aaye
kare hum jo chaahe tumhe kya
jo aaye humko samjhane
hum to chale peeche tum kyun pare
what's going on - 2

--MALE--
paune baara baje
dono ghar se chale
what's going on - 2
chalo chodo nakhre
dikhana, dikhana
duniya ka na koi
tikhana, tikhana

--FEMALE--
kahan seekha baate
yeh banaana, banaana
duniya se humko yuhn
bachaana, bachaana

--MALE--
ladki ho tum
dekhna pachtaogi
baadhi hui laut ke phir aaogi

--FEMALE--
seekha humne
jaakar phir na waapas aana
hum to chale peeche tum kyun pare
what's going on - 2

--MALE--
paune baara baje
dono ghar se chale
what's going on - 2

--FEMALE--
chalo humein itna
batao, batao
parwaah tumhe kyun yeh
sunao, sunao

--MALE--
parwaah kisse hai
jao, jao, haan jao
rahe lo akeli jo
rahe pao, rahe pao

--FEMALE--
rahena pare to chalo
rahe jaayenge
thodi kami yeh chalo
sahe jaayenge

--MALE--
to phir jao rehlo sehlo
phir batlao
hum to chale peeche tum kyun pare
what's going on - 2

--FEMALE--
bulaya kisine tumhe kya
yahan jo tum lehrate aaye
kare hum jo chaahe
tumhe kya jo aaye
humko samjhaane
hum to chale peeche tum kyun pare
what's going on - 2

--BOTH--
paune baara baje
dono ghar se chale
what's going - 2
soye hain raaste
yeh kahan hum chale
what's going on - 2
paune baara baje
dono ghar se chale
what's going on - 2

Gaana 5 - Dil Pardesi Ho Gayaa

Aaj Mere Angnaa Meraa Pyaar Aayaa Re
Aaj Mere Angnaa Meraa Pyaar Aayaa Re
Dil Ne Jisko Chaahaa Vo Dildaar Aayaa Re

Meraa Sonaa Sajan Haay Sonaa Sajan
O Meraa Sonaa Sajan Ghar Aayaa
Meraa Sonaa Sajan Ghar Aayaa
Eid Ho Gayee Meri Mujhe Chaand Nazar Aa Gayaa
Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan
Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan
Ho Meraa Sonaa Sajan Ghar Aayaa

Kaisaa Jaadoo Kar Diyaa Tune Jaadugar Beimaan
Meraa Sonaa Ve Meraa Sonaa Meraa Sonaa
Kaisaa Jaadoo Kar Diyaa Tune Jaadugar Beimaan
Rabbaa Rabbaa Rabbaa
Main Deevaani Ho Gayee Meri Jaan Hui Bejaan
Meraa Sonaa Sajan Haan Meraa Sonaa Sajan
Meraa Sainyo Sainyo Ni Meraa Sainyo Sainyo Ni
Meraa Sonaa Sajan Ghar Aayaa
Eid Ho Gayee Meri Mujhe Chaand Nazar Aa Gayaa
Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan
Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan
Meraa Sonaa Sajan Meraa Sonaa
Meraa Sonaa Sajan Meraa Sonaa
Dil Machle Tere Sang Rahne Ko Rahne Ko
Dil Machle Tere Sang Rahne Ko Rahne Ko
Pyaar Vaali Pyaari Baatein Karne Ko Karne Ko
Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa Aa

Aaj Kali Ke Man Ki Kaliyaan Khil Gayee Re
Meraa Sonaa Ve Meraa Sonaa Meraa Sonaa
Aj Kali Ke Man Ki Kaliyaan Khil Gayee Re
Rabbaa Rabbaa Rabbaa
Jaage Mere Naseeb Saari Khushiyaan Mil Gayee Re
Meraa Sonaa Sajan Haan Meraa Sonaa Sajan
Meraa Sainyo Sainyo Ni Meraa Sainyo Sainyo Ni
Meraa Sonaa Sajan Ghar Aayaa
Eid Ho Gayee Meri Mujhe Chaand Nazar Aa Gayaa
Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan
Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan
Sonaa Sajan Meraa Aayaa Ji Aayaa Meraa
Sonaa Sajan Meraa Aayaa Ji Aayaa
Meraa Sonaa Ve Meraa Sonaa
Meraa Sonaa Ve Meraa Sonaa
Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan
Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan Mubaarkaan

Gaana 4 - Kati Patang

jis galii mein teraa ghar na ho baalamaa
us galii se hame to guzaranaa nahiin
jo dagar tere dvaare se jaatii na ho
us dagar par hame paanv rakhanaa nahiin

zindagii mein kaii rangaraliyaan sahii
har taraf muskuraatii ye galiyaan sahii
khuubasuurat bahaaron kii kaliyaan sahii
jis chaman mein tere pag mein kaaten chubhe
us chaman se hamein phuul chunanaa nahiin
jis galii mein teraa ghar na ho baalamaa ...

aa ye rasamen ye kasamen sabhii tod ke
tuu chalii aa chunar pyaar kii odh ke
yaa chalaa jaaungaa main ye jag chhod ke
jis jagah yaad terii sataane lage
us jagah ek pal bhii thaharanaa nahiin
jis galii mein teraa ghar na ho baalamaa ...

Gaana 3 - Tere Ghar Ke Saamne (1963)

yek ghar banaaoongaa, tere ghar ke saamane
duniyaa basaaoongaa, tere ghar ke saamane

ghar kaa banaanaa, koee aasaan kaam naheen
duniyaa basaanaa, koee aasaan kaam naheen
dil mein wafaayen ho to, toofaa kinaaraa hain
bijalee humaare liye, pyaar kaa ishaaraa hain
tan man lootaoongaa, tere ghar ke saamane

kahate hain pyaar jise, dayraa hain aag kaa
yaa fir nashaa hain koee, jeewan ke raag kaa
dil mein jo pyaar ho to, aag bhee fool hain
sachchee lagan jo ho to, parabat bhee dhool hain
taare sajaaoongaa, tere ghar ke saamane

kaaton bhare hain lekin chaahat ke raasate
tum kyaa karoge dekhe, ulafat ke waasate
ulafat mein taaj chhoote, ye bhee tumhe yaad hogaa
ulafat mein taaj bane, ye bhee tumhe yaad hogaa
mai bhee kuchh banaaoongaa, tere ghar ke saamane

Gaana 2 - Dooriyan

Zindagi Zindagi Mere Ghar Aana Aana Zindagi
Zindagi Mere Ghar Aana Aana Zindagi
Zindagi O Zindagi Mere Ghar Aana Aana
Mere Ghar Aana
Zindagi Zindagi Mere Ghar Aana Aana Zindagi

Mere Ghar Ka Seedha Sa Itna Pataa Hai
Ye Ghar Jo Hai Chaaron Taraf Se Khula Hai
Na Dastak Zaruri, Na Aavaz Dena
Mere Ghar Ka Darvaaza Koi Nahin Hai
Hain Deevaren Gum Aur Chhat Bhi Nahin Hai
Badhi Dhoop Hai Dost
Kadhi Dhoop Hai Dost
Tere Aanchal Ka Saaya Churake Jeena Hai Jeena
Jeena Zindagi, Zindagi
O Zindagi Mere Ghar Aana
Aana Zindagi Zindagi Mere Ghar Aana

Mere Ghar Ka Seedha Sa Itna Pataa Hai
Mere Ghar Ke Aage Mohabbat Likha Hai
Na Dastak Zaruri, Na Aavaz Dena
Maein Saanson Ki Raftaar Se Jaan Lungi
Havaaon Ki Khushboo Se Pehchaan Lungi
Tera Phool Hoon Dost
Teri Bhool Hoon Dost
Tere Haathon Mein Chehra Chhupa Ke Jeena Hai Jeena
Jeena Zindagi, Zindagi
O Zindagi Mere Ghar Aana
Aana Zindagi Zindagi Mere Ghar Aana

Gaana 1 - Border

--Chorus--
Ohh Ohh Ohh Ohhhh ...

--MALE--
Sandese aate hain
Hume tadpate hain
Vo chitti aati hain
Vo pooche jaati hain
Ke ghar kab aao ge -- (2)
Likho kab aao ge
Ki tum bin yeh ghar suna suna hai

Sandese aate hain
Hume tadpate hain
Vo chitti aati hain
Vo pooche jaati hain
Ke ghar kab aao ge -- (2)
Likho kab aao ge
Ki tum bin yeh ghar suna suna hai

Kisi dilwali ne, kisi matwali ne
Hume khat likkha hai
Ke humse pucha hai
Kisi ki saason ne, kisi ki dhadkan ne
Kisi ki chudi ne, kisi ke kangan ne
Kisi ke cajre ne, kisi ke gajre ne
Mahekti subhoh ne, machalti shaamon ne
Akeli raaton ne, adhuri baaton ne
Tarasti baahon ne
Aur pucha hai tarasi nighaho.n ne
Ke ghar kab aao ge -- (2)
Likho kab aao ge
Ki tum bin yeh dil suna suna hai

--Chorus--
Sandese aate hain
Hume tadpate hain
Vo chitti aati hain
Vo pooche jaati hain

--MALE--
Ke ghar kab aao ge -- (2)
Likho kab aao ge
Ki tum bin yeh ghar suna suna hai
Mahobbat walon, ne hamare yaaron ne
Hume yeh likha hai, ke humse poocha hai
Hamare gaaon ne, aam ki chaaon ne
Purane pipple ne, baraste baadal ne
Khet khaliayanon ne, hare maidanon ne
Basanti belon ne, jhumti pelon ne
Lachakte jhulon ne, behekte phoolon ne
Chatakti kaliyon ne
Aur phoocha hain gaaon ki galiyo.n ne
Ke ghar kab aao ge -- (2)
Likho kab aao ge
Ki tum bin gaaon suna suna hai

--Chorus--
Sandese aate hain
Hume tadpate hain
Vo chitti aati hain
Vo pooche jaati hain

--MALE--
Ke ghar kab aao ge -- (2)
Likho kab aao ge
Ki tum bin yeh ghar suna suna hai

--Chorus--
Ohh Ohhhh Ohhh ...

--MALE--
Kabhi ek Mamta ki
Pyar ki Ganga ki
Vo chitti aati hain
Saath vo laati hain
Mere din bachpan ke
Khel vo aangan ke
Vo saaya aachal ka
Vo tika kaajal ka
Vo lori raaton mein, vo narmi haaton mein
Vo chahat aankhon mein, vo chinta baaton mein
Bigadna upar se, mahobbat anndar se
Kare vo devi maa
Yahin har khat mein pooche meri maa
Ke ghar kab aao ge -- (2)
Likho kab aao ge
Ki tum bin aangan suna suna hai

--Chorus--
Sandese aate hain
Hume tadpate hain
Vo chitti aati hain
Vo pooche jaati hain

--MALE--
Ke ghar kab aao ge -- (2)
Likho kab aao ge
Ki tum bin yeh ghar suna suna hai

No comments: