kabhi milanaa kabhi Khonaa
kabhi saath saath chalnaa
yai hai jindagi ka melaa
tum saath saath ho naa?
kahin Bheed, hai Ghanairi
kahin rah hai andheri
kahin roshni ki khushiyan
kahin machliyan sunhaeri
kabhi seediyon pe chadhna
kabhi dhal par phisalna
yai hai jindagi ka melaa
tum saath saath ho naa?
kabhi charkhiyon ke chakkar
kahin shor baaje saa
kuch fikre aur dhakke
kuch muft banta saa
rangeen bulbuon saa
kabhi aasman main udna
yai hai jindagi ka melaa
tuma saath saath ho naa?
kahin maut ka kunwa hai
kahin mashkharon ke jaadu
kabhi dher saare gubbare
kahin mogre ki khusbu
kabhi jindgi ko silna
kabhi dard ko pirona
yai hai jindagi ka melaa
tuma saath saath ho naa?
By Aalok Jain
Showing posts with label Poem. Show all posts
Showing posts with label Poem. Show all posts
Wednesday, June 27, 2007
Sunday, June 24, 2007
TUM HOTI TO
Jo Sapna kal raat sanjoya
aaj subha vo kitna khoya
tum hoti to
kucch hanste
kucch batein karte
kucch sunte kucch apni kahte
tum hoti to ...
Kal jane hum aur kahan hon
duniya ki kashti mein baathe
naa jane kis aur ravan hon
aaj shaam
kitni bebas thi
tum hoti to ...
Kucch ladte Kucch Gappein Karte
ye fursat pal kitne din ke
kat jaate yon hanste khilte
tum hoti to ...
tom hoti to ...
Saath baathte
man khidki ke dar khul jaate
khli hawa kucch aandar aati
umas bhare man ko
thodi rahat mil jaati
tum hoti to ...
Kya malum ki
tum kaise ho
bahut vyast ho
ya meri taraha hi gumsum
ghute ghute ho kucch to bolo
koi khabar do
tum hoti to ...
Haath tham kar
saath baathte
phir aankho ki nami hamare
sukhe man ko tar kar jaati
jeevan par chikati partein bhi
dhul kar chamak khushi le aatein
tum hoi to ...
By Aalok Jain
aaj subha vo kitna khoya
tum hoti to
kucch hanste
kucch batein karte
kucch sunte kucch apni kahte
tum hoti to ...
Kal jane hum aur kahan hon
duniya ki kashti mein baathe
naa jane kis aur ravan hon
aaj shaam
kitni bebas thi
tum hoti to ...
Kucch ladte Kucch Gappein Karte
ye fursat pal kitne din ke
kat jaate yon hanste khilte
tum hoti to ...
tom hoti to ...
Saath baathte
man khidki ke dar khul jaate
khli hawa kucch aandar aati
umas bhare man ko
thodi rahat mil jaati
tum hoti to ...
Kya malum ki
tum kaise ho
bahut vyast ho
ya meri taraha hi gumsum
ghute ghute ho kucch to bolo
koi khabar do
tum hoti to ...
Haath tham kar
saath baathte
phir aankho ki nami hamare
sukhe man ko tar kar jaati
jeevan par chikati partein bhi
dhul kar chamak khushi le aatein
tum hoi to ...
By Aalok Jain
Subscribe to:
Posts (Atom)