Na To Caarvaan Ki Talaash Hai, Na To Humsafar Ki Talaash Hai
Mere Shauq-E-Khaana Kharaab Ko, Teri Rehguzar Ki Talaash Hai
Mere Naamuraad Junoon Ka Hai Ilaaj Koi To Maut Hai
Jo Dava Ke Naam Pe Zehar De Usi Chaaraagar Ki Talaash Hai
Tera Ishq Hai Meri Aarzoo, Tera Ishq Hai Meri Aabroo
Dil Ishq Jism Ishq Hai Aur Jaan Ishq Hai
Imaan Ki Jo Poochho To Imaan Ishq Hai
Tera Ishq Hai Meri Aarzoo, Tera Ishq Hai Meri Aabroo,
Tera Ishq Maein Kaise Chhod Doon, Meri Umra Bhar Ki Talaash Hai
Jaansoz Ki Haalat Ko Jaansoz Hi Samjhega
Maein Shamaa Se Kehta Hoon Mehfil Se Nahin Kehta Kyonki
Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq
Sahar Tak Sabka Hai Anjaam Jal Kar Khaak Ho Jaana,
Bhari Mehfil Mein Koi Shammaa Ya Parvaana Ho Jaye Kyonki
Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq
Vehshat-E-Dil Rasm-O-Deedaar Se Roki Na Gayi
Kisi Khanjar, Kisi Talvaar Se Roki Na Gayi
Ishq Majnu Ki Vo Aavaz Hai Jiske Aage
Koi Laila Kisi Deewaar Se Roki Na Gayi, Kyonki
Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq
Vo Hanske Agar Maangen To Hum Jaan Bhi Deden,
Haan Ye Jaan To Kya Cheez Hai Imaan Bhi Deden Kyonki
Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq
Naaz-O-Andaaz Se Kehte Hain Ki Jeena Hoga,
Zehar Bhi Dete Hain To Kehte Hain Ki Peena Hoga
Jab Maein Peeta Hoon To Kehten Hai Ki Marta Bhi Nahin,
Jab Maein Marta Hoon To Kehte Hain Ki Jeena Hoga
Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq
Mazhab-E-Ishq Ki Har Rasm Kadi Hoti Hai,
Har Kadam Par Koi Deewaar Khadi Hoti Hai
Ishq Aazad Hai, Hindu Na Musalmaan Hai Ishq,
Aap Hi Dharm Hai Aur Aap Hi Imaan Hai Ishq
Jis Se Aagaah Nahi Shekh-O-Barahaaman Dono,
Us Haqeeqat Ka Garajtaa Hua Ailaan Hai Ishq
Ishq Na Puchhe Deen Dharm Nu, Ishq Na Puchhe Jaataan
Ishq De Haathon Garam Lahu Vich, Doobiyaan Lakh Baraataan Ke
Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq
Raah Ulfat Ki Kathin Hai Ise Aasaan Na Samajh
Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq
Bahut Kathin Hai Dagar Panghat Ki
Ab Kya Bhar Laun Maein Jamuna Se Matki
Maein Jo Chali Jal Jamuna Bharan Ko
Dekho Sakhi Ji Maein Jo Chali Jal Jamuna Bharan Ko
Nandkishor Mohe Roke Jhaadon To
Kya Bhar Laun Maein Jamuna Se Matki
Ab Laaj Raakho More Ghoonghat Pat Ki
Jab Jab Krishn Ki Bansi Baaji, Nikali Raadha Saj Ke
Jaan Ajaan Ka Maan Bhula Ke, Lok Laaj Ko Taj Ke
Janak Dulaari Ban Ban Doli, Pahan Ke Prem Ki Maala
Darshan Jal Ki Pyaasi Meera Pi Gai Vishh Ka Pyaala
Aur Phir Araj Kari Ke
Laaj Raakho Raakho Raakho, Laaj Raakho Dekho Dekho,
Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq
Allah Rasool Ka Farmaan Ishq Hai
Yaane Hafeez Ishq Hai, Quraan Ishq Hai
Gautam Kaa Aur Maseeh Ka Armaan Ishq Hai
Ye Kaaynaat Jism Hai Aur Jaan Ishq Hai
Ishq Sarmad, Ishq Hi Mansoor Hai
Ishq Moosa, Ishq Koh-E-Noor Hai
Khaaq Ko But, Aur But Ko Devta Karta Hai Ishq
Intaha Ye Hai Ke Bande Ko Khuda Karta Hai Ishq
Haan Ishq Ishq Tera Ishq Ishq
Tera Ishq Ishq, Ishq Ishq
Thursday, August 30, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment