Gaana No 1
ye jo mohabbat hai, ye unakaa hain kaam
mehaboob kaa jo bas lete huye naam
mar jaaye, mit jaaye, ho jaaye badanaam
rahane do, chhodo bhee jaane do yaar
hum naa karenge pyaar
toote agar saagar, nayaa saagar koee le le
mere khudaa dil se koee kisee ke n khele
dil toot jaaye to kyaa ho anjaam
aankhe kisee se naa ulaz jaaye main darataa hoo
yaaro haseenon kee galee se main gujarataa hoo
bas door hee se kar ke salaam
Gaana No 2
Yeh laal rang kab mujhe chhodega - 2
Mera gham kab talak mera dil todega
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Kisi ka bhi liya naam to aayi yaad tu hi tu - 2
Yeh to pyaala sharaab ka ban gaya yeh lahoo
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Peene ki kasam daal di, peeoonga kis tarah - 2
Yeh na socha tune yaar main jeeoonga kis tarah
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Chala jaaoon kahin chhodke main tera yeh shaher, haan
Chala jaaoon kahin chhodke main tera yeh shaher
Na to yahan amrit mile peene ko na zaher
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Mera gham kab talak, ho mera dil todega
Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Courtsey - Aalok Jain
Thursday, August 30, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment