Aise To Na Dekho, Ke Humko Nasha Ho Jaye
Khoobsurat Si Koi Humse Khata Ho Jaye
Aise To Na Dekho...
Tum Humein Roko Phir Bhi Hum Na Ruken
Tum Kaho Kaafir Phir Bhi Aise Jhuken
Kadam-E-Naaz Pe Ik Sajda Ada Ho Jaye
Aise To Na Dekho...
Yoon Na Ho Aankhen Rahen Kaajal Gholen
Badh Ke Bekhudi Haseen Gesu Kholen
Khul Ke Phir Zulfen Siyah Kali Bala Ho Jaaye
Aise To Na Dekho...
Hum To Masti Mein Jaane Kya Kya Kahen
Lab-E-Naazuk Se Aisa Na Ho Tumhein
Beqarari Ka Gila Hum Se Siva Ho Jaye
Aise To Na Dekho...
ki: hmmmmm..., hmmm..., hmmmmmm...
Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat
kaun ho tum batlaao
der se kitni door khaDi ho
aur qarib aa jaao
(subah pe jis tarah, shaam kaa ho gumaaN) -2
zulfon mein ek chehraa, kuchh zaahir kuchh nihaar
*fast*
Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat
kaun ho tum batlaao
der se kitni door khaDi ho
aur qarib aa jaao
chorus: Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat
kaun ho tum batlaao
der se kitni door khaDi ho
aur qarib aa jaao
ki: (dhaDkanon ne suni, ik sadaa paaon ki) -2
(aur dil pe lahraai, aaNchal ki chhaaon si) -2
Khvaab ho tum yaa...
All: Khvaab ho tum yaa...
ki: (mil hi jaati ho tum, mujhko har moD pe) -2
(chal deti ho kitne, afsaane chhoD ke) -2
Khvaab ho tum yaa...
chorus: Khvaab ho tum yaa...
ki: (phir pukaaro mujhe, phir meraa naam lo) -2
(girtaa hooN phir apni, baahon mein thaam lo) -2
Khvaab ho tum yaa...
sab: (Khvaab ho tum yaa...) -2
lata:
likha hai teri aankhon mein,
kisaka afasana - 2
kishor:
agar ise samajh sako,
mujhe bhi samjhana
likha hai teri aankhon mein,
kiska afasana ...
lata:
jawab tha kisi tamanna ka,
likha to hai magar adhoora sa
are o o o o jawab tha kisi tamanna ka,
likha to hai magar adhoora sa
kishor:
kaisi na ho meri har baat adhoori,
abhi huun aadha deewana
lata:
likha hai teri aankhon mein, kiska afasana
kishor:
agar ise samajh sako, mujhe bhi samajhana
lata:
likha hai teri aankhon mein, kiska afasana
lata:
jo kuch nahi to yeh ishaare kyon,
thahar gaye mere sahare kyon
are o o o o jo kuch nahi to yeh ishare kyon,
thahar gaye mere sahare kyon
kishor:
thoda sa haseenon ka sahara leke chalna,
hai meri aadat rozaana
lataa:
likha hai teri aankhon mein, kiska afasaana
kishor:
agar ise samajh sako, mujhe bhi samajhana
lataa:
likha hai teri aankhon men, kiska afasana
kishor:
yahaan vahaan fiza mein aawara,
abhi talak ye dil hai bechara
are o o o o yahaan vahaan fiza mein aawara,
abhi talak ye dil hai bechara
lataa:
o o ... dil ko tere ab tak na samajhe,
tujh hi ko hamane pahachaana
lataa:
likha hai teri aankhon men, kiska afasaana
kishor:
agar ise samajh sako, mujhe bhi samajhana
lataa:
likha hai teri aankhon men, kisaka afasana
No comments:
Post a Comment