Friday, August 24, 2007

aisee thi vo 4 august 2007 - Premi Bikaneri ke chakshoo se

4 Aug 2007 ko subah subah jab amitabh ko phone kiya to usne bataya ki wo aaj kisi kam se subah 8:30 ko nikal gaya hai. Fir sari amitabh ki wartalap lloyd ko sunai, lloyd bola mein ek ghante mein apna programm batayega aur main tumhari ghanti baja doonga.

Uske baad subah 10 baj BSNL ki meeting thi jo karib 2 ghante mein khatm honi thi. 11 baje lloyd ne kaha, Sidhir Banthia ki jwelley shop per aa jao. Isi dauran rustagi aur MC lloyd ka kidnap kar DS chouhan ke paas le jane lage. maine lloyd ko ghanti ki to usne kaha DSC ke paas pahoocho. main DSC ke paas pahuncha aur uske bad lloyd aur rustagi pahooche MC ko maine pahachana, per rustgi ko nahin.

DSC ke paas chai pee (jo ki amitabh ke hotel se nahin mangayee thi) aur lloyd ke saath chande ka kam sambhala. 3 baje main lloyd ke saath apne thikane per pahoocha, jahan lloyd ka parichay mere parivaar ke saath hua. "lloyd ne kaha, tumhara beta engineer banega".

Sham 4:30 baje main apni ekloti bibi aur lloyd (vichaar to lloyd ko choodne ka tha, par pata nahi kyon us par daya aa gayi) ke saath Chokhi Dhani rawana hua. Sham 5:15 Chokhi Dhani pahuncha, per thi footi kismat chokhi dhani mein, humare swagat ke liye Furki, Bhagchandani aur DSC maujood the.

Hum sab jor se hanse ki 140 logon ke liye khane ka order diya hua aur pahoonche kewal paanch. Uske bad chhape hue biadata form bante char log form bharne lag gaye, hansee mazak ka daur chala, ki ye kya bewkoofi hai, jo aate hi form pakda diye. Wo form main jaldbaji mein bikaner se chhap kar chala tha, Usme ek kami thi ki bhai logon ka to birthday nahi poochha lekin wife ke birthday ka column tha.

Bus Furki aur jo koi aye wo yehi kahe ki ye sab bhai logon ko pitwane ka kam kiya hai. kyonki sabhi log ek dusre ke biwi ko jarur Happy Birthday kahenge, jiski biwi ka birthday hoga wo pitega. Apne bhai log seedhe hai jo apni biwi ka birthday yad nahin rakhate. Is baat ka maza lene mein sbse aage the Furki, Jayanti, Rajesh Seth, DSC, lloyd aur Nuwal.

Sham 6:45 tak, prati minute kisi na kisi bhai ki, akele ya parivar ke saath entry hoti rahi. Sabka, biodata form pakda kar test lete rahe, sabko yehi kaha gaya ki form bharte waqt bhabhiji se nahi poochhna hai. Apne kai bhai log mushkil mein pad gaye.

Gappe marte marte chai -pakode ka anand liya aur tab tak mahilao ki sankhya mein khasa izafa ho gaya. Sabhi mahilayen badi utsukta ke sath sabhi budhau logon ke maze le rahi thi. Humari mitron ko pahachanane mein ho rahi galtiyon ka bhi maza le rahi thi. Sabhi mahilayen ek dusre se azanbi hote hue bhi jaldi ghul-mil gayee.

Sham 7 baje tak karib 95% log hazri laga chuke the.

Fir hum sabhi log bahar stage aur bade dhang se lagi hui kursiyon pr baith gaye. har vyakti ko akelea ya jodi ke ssath, stage per mike ke samne parichay dene ko kaha jisme naam, pata, bachhe aur marriage anniversari ke bare mein compulsory roop se batana hoga . Sabse kathin kam tha biwi se poochhe bina marriage aniversari batana tha. Jisme humare jyadatar bhai logo ne mahilaon ke samne nak katwa di. Kuchh ne to ghar jakar biwi se mar bhi khai hogi. Kuchh bhai log asmanjus mein the ki biwi se poochh kar boloo, kuchh ki pareshani thi bhai logon ki taraf dekh kar boloo ya mahilaon ki taraf ? Kuchh bhai log ladkhadye to bhabhiyon ki hansi chhoot gayee. Bhai log bhi khichai karne mein peechhe nahin the.
Mujhe sabse dar lag raha tha kyonki mail per maine kafi punge le rakhe the.

Kuchch CHATPATTE waqye

1. Apna Narendra Joshi ab ExEn sahab ho gaya hai, Abhi bhi uske gambhir chehare ko dekh hum khoob hanse. Abhi bhi college wali ada gayee nahi. Is liye kahte hai ki "bunder kitna bhi budha ho jaye per chhalang marni nahi chhodga". Iski bhi bahut charbi chad gayee hai.

2. Rajesh Seth ko koi gale nahi mil paya, Masha alla sehat ki wajah se.

3. Ramesh Gupta , Yar apna kaloo, Abhi bhi awaz buland hai, Uchhal kood bhi.

4. Piyush Gupta ki chalne aur baat karne ki adat wohi hai. yani no change.

5. Ghanshyam Bhagchandani aajkal generator ki dookan delhi mein khol kar baitha hua hai. Har kisi se poochh raha tha "yaar tu kya kar raha hai, ek ne jawab diya, dekh nahi raha chai pee raha hoon". Per ek baat bataun isko maine 1 Aug ko khojkar sandesh diya aur bhai 4 Aug ko sab kam chhod kar hazir ho gaya , ye hoti hai yar ki yaari. Dhanya hai aise MBM ke lal.

6. Ram Lal Choudhary patla ho gaya hai aur main us se milkar bahut khus hua. Usne bhi mujhe poora man-samman aur apne muhabbat jattai. Hum dono ne photo bhi khinchwai.

7. Furki mahilaon ke samne baitha, mahilaon ki sankhya badhne per sabhi mahilayen uthkar kone mein chali gayee, To maine DSC ko kaha yaar furki ko bahar kar do , ye mahilaon ko ghoorta hai jis se mahilaon ne jagah change kar li hai.

8. Sabse jyada dikhne, no change aur jawan kewal Jayanti bhai tha, thoda bahut mota hua hai.

9. Rajeev Bahri bahut kamjor njar aa raha tha.

10. Archana late aai, per bahut sunder lag rahi thi. Isne bhi thodi sehat banai hai. Inke
patidev bhi bahut mast maula lage. Kafi khulkar batcheet hui.

11. Gulshan Kriplani ne Kuwait se apne parivaar ke saath aa kar ek alag hi sandesh diya ki hum bhi kisi se kam nahin.

12. Meri, Dinesh Agarwal, MC kee chaand alag hi chamak rahi thi.

13. Deepak Jain ne China se aakar sabko chakit kar diya, yeh aise mahanubhav the jo bina bataye Chokhi Dhani pahunce, sach mein bahut accha laga.

No comments: