Thursday, August 23, 2007

MBM PET1 Parivaar Salute to Premraj "Bikaneri"

26 Jan 2001 ko main Bhuj (Gujrat) mein tha. Vahan meri posting promotion per Feb 1999 mein as a DGM hui. Wahan 1998 mein bahoot bada cyclone ayaa tha aur us ghatna ko 8 mahine bad mein dekhane gaya to paaya, broad gauge ki rail line parabola shape mein mud kar khadi hui thi. Samundra ke paas toote hui kachche gharon ka malwa pada tha.

26 Jan 2001 ko subah ke waqt hum log jhanda fahera kar free hi hue the ki exchange bldg bhookamp ki wajah se jor-jor se hilne lagi. Hum log seedhe khade nahi ho pa rahe the. Aas-paas ki bulidings dhadadhad girne lagi. Mujhe laga ki aaj apna akhiri din hai. Itni tabahi dekhkar Biwi aur bachhon ki aas hi chhod di. Wahin exchange mein bachav karyon mein lag gaye.

Us din usi exchange bldg mein 10 log mare gaye. Jisme char ko to giri hui munder ke malwe se, boori tarah bikhre dead body ke parts ke saath nikala. Mere aur GM ki staff car per poori building ka malwa gir gaya aur us kuchli hui car aur tata-sumo ko TV coverage mein logon ne dekha.

Uske bad karib 11:30 baje staff ke ek aadmi ne mujhe motor cycle per ghar pahoochaya aur poore raste bhagwan se kushal mangle ki kamna karta raha. Poore raste mein bldgs giri ya tooti-jhuki hui thi. Fir
ghar poonchn kar, dono ko shakushal dekha to ishwer ko naya jivan dene ke liye shukria ada kiya.

Uske bad main wapas chala gaya taki shaher mein communication system restore ho sake. Mera TV trolly samet kamre ke beech aa gaya, Freedge ludhak kar, plug wire todta hua rasoi se bahar aa gaya, Rasoi mein Madam ki pyari krokri neeche gir kar chakna choor ho gayi. Computer ka monitor
ludhak kar bister per gir gaya, kyon ki palang khisak kar computer table ke paas aa gaya.

Ye sab dekhkar ek madam boli, ki koi baat nahin hum log safe hay, yahi bahut hai.

Mere management ki sabse kathin pariksha ab shuru hoti hai. Bhookamp mein GM aur char-panch staff ke saath apne kam per jut gaya. Is se pahle 8:45 per poora communication thap ho chuka tha. Fir kahin kisi department mein ek satellite phone khoj kar, ghar per phone kaha rajasthan ke BSNL karyalay mein jaa kar suchit karo ki yahan turant trend staff ki jarurat hai. Bikaner BSNL ne Ahmedabad BSNL ko is baat ki jaankari 10:30 ko di aur sham tak humare paas BSNL ki aapatkalin seva team aa gayi.

Ab hum logon ne sthaneeya staff ko khoj kar unki family ko himmat dete hue staff ko jutaya , jo ki behad mushkil kaam tha kyonki har kisi ki family shocked thi. Hum dus gyarah logon ki team ne raat mein generator chala kar exchange ko karib 1 baje chalu kiya. Fir ghar per baat ki sabhi log TV per halaat dekh kar sakte mein the. Mata ne kaha sab kuchh chhod kar aa jao. maine kaha yahan mujhe sabhi jagah communiction chalu karna hai aur main nahin aa paunga . Aap log ek Truck bhej de taaki main ghar ka bacha-khucha saaman aur parivar ko bhej doon.

Raat ko 2 baje ghar pooncha aur ghar se thodi dooi per khule maidan mein January ke mahine ki thand mein ek chader mein teeno log so gaye, per hum dono ko thand aur sadme se neend nahin aa rahi thi. Hum dono ka prayas chhoti bachchi ko thand se bachane mein laga raha.

Fir subah 5 baje exchange chal diye, tab tak delhi se mantri ji ke adesh aa gaye ki public ke liye telephone 30 line free service ke liye khol do. Jo bahoot hi manviya najariya tha aur sarkar ki aur se pahli rahat thi. Jo ki samay ko dekhte hue ANMOL thi. Jab log phone kar ke chehre per sukoon ya rahat ka bhav laate to unko dekh main bahut khush hota tha .

Isi dauran dusre karya bhi kiye, jaise staff ki dead bodies ko unke ghar pahunchaya , kahin per dead body register karwa kar antim sanskar ko bheja.

Subah bhookamp ke bad karib 60 aftershock aate rahe. Dusre din tent, khana & 2-3 team aur aa gayi. Aur mujhe control room management ka kam diya, kyonki mein akela aisa banda tha, jo Bhuj zille ke har gaon aur sarak ko janta tha . Iske saath mere paas Bhuj ziile ke communication network ki poori jankari thi, jo ki aapatkalin teams ko kafi madad kar rahi thi. Isi wajah se mujhe field work nahi diya gaya aur sabhi activity ka controller bana diya.

Aur 17 May 2002 ko mujhe Sanchar Seva Padak aur 11000 rupees se sammanit kiya gaya.

No comments: